Shahzad Ahmad

uThin aankhen agar aahaT suni hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
uThīñ āñkheñ agar aahaT sunī hai
sadā tasvīr banñā chāhtī hai
abhī guzrā nahīñ ruḳhsat kā lamha
vo saa.at aañkh meñ Thahrī huī hai
abhī lauTā nahīñ din kā musāfir
añdherā ho chukā khiḌkī khulī hai
abhī sar par hai tanhā.ī kā sūraj
mirī āñkhoñ meñ duniyā jāgtī hai
agar guzrā nahīñ vo is taraf se
ye hairat kis ne dīvāroñ ko dī hai
mire chehre kī raunaq ahd-e-māzī
ye surḳhī kal ke aḳhbāroñ se lī hai
bahut sharminda huuñ iblīs se maiñ
ḳhatā merī sazā us ko milī hai
bahā kar le gayā sailāb sab kuchh
faqat āñkhoñ kī vīrānī bachī hai
kahāñ tak bojh uThā.egī hamārā
ye dhartī bhī to būḌhī ho chukī hai
na aa.egī havā ko niiñd kyūñ-kar
zamānoñ kī thakī-hārī huī hai
bas ab bujhne ko hai sūraj kī qindīl
jahāñ tak jal sakī jaltī rahī hai
zabāneñ thak chukīñ patthar hue kaan
kahānī an-kahī thī an-kahī hai
makīñ 'shahzād' pyāse mar rahe haiñ
dar-o-dīvār par kaa.ī ugī hai
Top Urdushayar.com