dekhne us ko koī mere sivā kyuuñ aa.e
mere hamrāh ye naqsh-e-kaf-e-pā kyuuñ aa.e
kal thī ye fikr use haal sunā.eñ kaise
aaj ye sochte haiñ us ko sunā kyuuñ aa.e
kam nahīñ hai ye aziyyat ki abhī zinda huuñ
ab mire sar pe koī aur balā kyuuñ aa.e
maiñ bulandī pe agar jā.ūñ to kaise jā.ūñ
āsmānoñ se zamīnoñ pe ḳhudā kyuuñ aa.e
adl-o-insāf taqāzā-e-mashiyyat hī sahī
zindagī hī meñ magar roz-e-jazā kyuuñ aa.e
dauḌte ḳhuun kī ik lahar bahut kaafī hai
shafaq-e-shām ko itnī bhī hayā kyuuñ aa.e
qaidiyoñ ke liye behtar hai ki ghuT kar mar jaa.eñ
raushnī jab nahīñ aatī to havā kyuuñ aa.e
log ḳhāmoshī kā karte haiñ taqāzā ya.anī
saañs lene kī bhī 'shahzād' sadā kyuuñ aa.e