Shahzad Ahmad

main akela hun yahan mere siwa koi nahin

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
maiñ akelā huuñ yahāñ mere sivā koī nahīñ
chal rahā huuñ aur merā naqsh-e-pā koī nahīñ
zehn ke tārīk goshoñ se uThī thī ik sadā
maiñ ne pūchhā kaun hai us ne kahā koī nahīñ
dekh kar har ek shai kā faisla karte haiñ log
aañkh kī putlī meñ kyā hai dekhtā koī nahīñ
kis ko pahchānūñ ki har pahchān mushkil ho ga.ī
ḳhud-numā sab log haiñ aur rūnumā koī nahīñ
naqsh-e-hairat ban ga.ī duniyā sitāroñ kī tarah
sab kī sab āñkheñ khulī haiñ jāgtā koī nahīñ
ghar meñ ye mānūs sī ḳhushbū kahāñ se aa ga.ī
is ḳharābe meñ agar aayā gayā koī nahīñ
paikar-e-gul āsmānoñ ke liye betāb hai
ḳhaak kahtī hai ki mujh sā dūsrā koī nahīñ
umr bhar kī talḳhiyāñ de kar vo ruḳhsat ho gayā
aaj ke din ke sivā roz-e-jazā koī nahīñ
Top Urdushayar.com