Shahzad Ahmad

Dub jaenge sitare aur bikhar jaegi raat

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
Duub jā.eñge sitāre aur bikhar jā.egī raat
dekhtī rah jā.eñgī āñkheñ guzar jā.egī raat
raat kā pahlā pahr hai ahl-e-dil ḳhāmosh haiñ
sub.h tak rotī huī āñkhoñ se bhar jā.egī raat
aarzū kī be-hisī kā gar yahī aalam rahā
be-talab aa.egā din aur be-ḳhabar jā.egī raat
raushnī kaisī agar aalam añdherā ho gayā
dil meñ bas jā.egī āñkhoñ meñ utar jā.egī raat
koī aahaT bhī na sun pā.egā ḳhvābīda chaman
ḳhushk pattoñ par dabe paañv guzar jā.egī raat
dil meñ rah jā.eñge tanhā.ī ke qadmoñ ke nishāñ
apne pīchhe kitnī yādeñ chhoḌ kar jā.egī raat
shaam hī se so ga.e haiñ log āñkheñ muuñd kar
kis kā darvāza khulegā kis ke ghar jā.egī raat
der tak 'shahzād' āñkhoñ meñ phiregī chāñdnī
kaT to jā.egī magar kyā kuchh na kar jā.egī raat
Top Urdushayar.com