Shahzad Ahmad

hijr ki raat meri jaan pe bani ho jaise

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
hijr kī raat mirī jaañ pe banī ho jaise
dil meñ ik yaad ki neze kī anī ho jaise
nahīñ ma.alūm ki maiñ kaun huuñ manzil hai kahāñ
chādar-e-ḳhāk har ik samt tanī ho jaise
apnī āvāz ko ḳhud sun ke laraz jaatā huuñ
kisī saa.e se mirī ham-suḳhanī ho jaise
hādsa ek magar kitne ġhamoñ kā ehsās
ek sūrat ka.ī rañgoñ se banī ho jaise
bhuul kar bhī koī letā nahīñ ab nām-e-vafā
ishq is shahr meñ gardan-zadanī ho jaise
kitne ārām se huuñ ars-e-tanhā.ī meñ
gosha-e-dasht meñ bhī chhāñv ghanī ho jaise
kis qadar narm o dil-āvez hai ye garm sahar
dhuup mahtāb kī chādar meñ chhanī ho jaise
kabhī siine se bhī phūloñ kī mahak aatī hai
dil meñ bhī koī fazā-e-chamanī ho jaise
jism vo jism ki lapkā huā kauñdā koī
hoñT vo hoñT ki la.al-e-yamanī ho jaise
dil meñ chubhtī bhī rahī aañkh meñ khubtī bhī rahī
mizha-e-tez ki hiire kī kanī ho jaise
ḳhud hī tasvīr banātā huuñ miTā detā huuñ
but-garī mere liye but-shikanī ho jaise
kam nahīñ himmat-e-farhād se sa.ī-e-taḳhlīq
kisī shīrīñ ke liye koh-kanī ho jaise
mahfil-e-dost kī raunaq meñ haiñ 'shahzād' magar
dil kā ye haal ġharīb-ul-vatanī ho jaise
Top Urdushayar.com