Shahzad Ahmad

tujh pe jaan dene ko tayyar koi to hoga

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
tujh pe jaañ dene ko tayyār koī to hogā
zindagī terā talabgār koī to hogā
taḳhta-e-dār pe chāhe jise laTkā diije
itne logoñ meñ gunāhgār koī to hogā
koī dīvāna to lalkāregā aatī rut ko
vāqi.a phir sar-e-bāzār koī to hogā
koī to raat ko dekhegā javāñ hote hue
is bhare shahr meñ bedār koī to hogā
dil ke andar bhī to maujūd hai duniyā kā zamīr
aap se bar-sar-e-paikār koī to hogā
shaam ko roz nahātā hai lahū meñ sūraj
nahīñ khultā magar asrār koī to hogā
maiñ yahī soch ke jañgal se nikal aayā thā
shahr meñ sāya-e-dīvār koī to hogā
ḳhushk miTTī se bhī ḳhushbū tirī aatī hogī
miT chukā ghar magar āsār koī to hogā
kyuuñ khiñche jaate haiñ roz us kī taraf ham 'shahzād'
us kī jānib se bhī isrār koī to hogā
Top Urdushayar.com