tishnagī achchhī nahīñ rakhnā bahut
rauzan-e-gul se use taknā bahut
dekh kar jis shaḳhs ko hañsnā bahut
sar ko is ke sāmne Dhaknā bahut
jis kī āñkhoñ meñ na jhāñkā jā.egā
is kī hī tahrīr ko paḌhnā bahut
mauja-e-reg-e-ravāñ hai zer-e-āb
apnī hastī dekh kar baḌhnā bahut
barf kī mānind jiinā umr bhar
ret kī sūrat magar tapnā bahut
umr bhar kī bandisheñ ḳhvāb-o-ḳhayāl
do qadam bhī saath hai chalnā bahut
ḳhastagī 'nāhīd' ban jaa.e na jurm
apnī hastī dekh kar baḌhnā bahut