kuchh na kuchh ho to sahī anjuman-ārā.ī ko
apne hī ḳhuuñ se firozāñ karo tanhā.ī ko
ab ye aalam hai ki biitī huī barsātoñ kī
apne hī jism se bū aatī hai saudā.ī ko
paas pahuñche to bikhar jā.egā afsūñ saarā
duur hī duur se sunte raho shahnā.ī ko
kisī zindāñ kī taraf aaj havā ke jhoñke
pā-ba-zanjīr liye jaate haiñ saudā.ī ko
kis meñ tāqat hai ki gulshan meñ muqayyad kar le
is qadar duur se aa.ī huī purvā.ī ko
vo dahaktā huā paikar vo achhūtī rañgat
chuum le jaise koī lāla-e-sahrā.ī ko
bahut āzurda ho 'shahzād' to khul kar ro lo
hijr kī raat hai chhoḌo bhī shakebā.ī ko