ruḳhsat huā to aañkh milā kar nahīñ gayā
vo kyuuñ gayā hai ye bhī batā kar nahīñ gayā
vo yuuñ gayā ki bād-e-sabā yaad aa ga.ī
ehsās tak bhī ham ko dilā kar nahīñ gayā
yuuñ lag rahā hai jaise abhī lauT aa.egā
jaate hue charāġh bujhā kar nahīñ gayā
bas ik lakīr khīñch gayā darmiyān meñ
dīvār rāste meñ banā kar nahīñ gayā
shāyad vo mil hī jaa.e magar justujū hai shart
vo apne naqsh-e-pā to miTā kar nahīñ gayā
ghar meñ hai aaj tak vahī ḳhushbū basī huī
lagtā hai yuuñ ki jaise vo aa kar nahīñ gayā
tab tak to phuul jaisī hī taaza thī us kī yaad
jab tak vo pattiyoñ ko judā kar nahīñ gayā
rahne diyā na us ne kisī kaam kā mujhe
aur ḳhaak meñ bhī mujh ko milā kar nahīñ gayā
vaisī hī be-talab hai abhī merī zindagī
vo ḳhār-o-ḳhas meñ aag lagā kar nahīñ gayā
'shahzād' ye gila hī rahā us kī zaat se
jaate hue vo koī gila kar nahīñ gayā