na bastiyoñ ko aziiz rakkheñ na ham bayābāñ se lau lagā.eñ
mile jo āvārgī kī fursat to saarī duniyā meñ ḳhaak uḌā.eñ
ho ek gulshan ḳhizāñ-rasīda to kaam aa.e lahū hamārā
tamām aalam meñ tīrgī hai kahāñ kahāñ mish.aleñ jalā.eñ
agarche ye dil-fareb rasta bhī ḳhār-zāroñ kī anjuman hai
magar mirā jī ye chāhtā hai ki aable ḳhud hī phuuT jaa.eñ
jahāñ kī rañgīniyoñ kī hamrāz aañkh patthar banī huī hai
ye haal ab ho gayā hai dil kā na ro sakeñ ham na muskurā.eñ
ye dasht be-rah-ravoñ kī bastī ye shahr zindāniyoñ kā maskan
agarche ḳhalvat-nashīñ nahīñ ham magar kahāñ anjuman sajā.eñ
shagufta kaliyoñ kī dil kī dhaḌkan udaas lamhoñ meñ so ga.ī hai
sukūt vo chhā gayā ki har-sū bahār kartī hai saa.eñ saa.eñ
agarche 'shahzād' vo nigāheñ bhī ek muddat se muntazir haiñ
magar jo ḳhud se chhupā rahe haiñ vo zaḳhm unheñ kis tarah dikhā.eñ