Shahzad Ahmad

dil se ye kah raha hun zara aur dekh le

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
dil se ye kah rahā huuñ zarā aur dekh le
sau baar us ko dekh chukā aur dekh le
us ko ḳhabar huī to badal jā.egā vo rañg
ehsās tak na us ko dilā aur dekh le
sahrā meñ kyā dharā hai abhī shahr ko na chhoḌ
kuchh roz dostoñ kī vafā aur dekh le
mausam kā e'tibār nahīñ bādbāñ na khol
kuchh der sāhiloñ kī havā aur dekh le
sahrā-e-ārzū hai qadam dekh-bhāl kar
kāñToñ kī samt ābla-pā aur dekh le
hotā koī to paañv kī aahaT se chauñktā
jañgal hai kar ke ek sadā aur dekh le
dil bhī to ik dayār hai raushan harā-bharā
āñkhoñ kā ye charāġh bujhā aur dekh le
mumkin hai ek lamhe kī mehmān ho bahār
phūloñ kī tāzgī pe na jā aur dekh le
yuuñ kis tarah batā.ūñ ki kyā mere paas hai
tū bhī to koī rañg dikhā aur dekh le
dekhī thī ik jhalak ki uḌe rañg har taraf
koī pukārtā hī rahā aur dekh le
'shahzād' zindagī ke jhamele hazār haiñ
duniyā nahīñ pasand to aa aur dekh le
Top Urdushayar.com