Shahzad Ahmad

is daur-e-be-dili mein koi baat kaise ho

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
is daur-e-be-dilī meñ koī baat kaise ho
chāheñ bhī ham to ḳhud se mulāqāt kaise ho
kaaTe nahīñ ga.e to mire haath kaise ho
mere nahīñ ho tum to mire saath kaise ho
patthar baras rahe haiñ to mujh par bhī ā.eñge
maiñ chup rahūñ magar basar-auqāt kaise ho
kuchh dekhte nahīñ ho to biinā ho kis liye
ThanDe paḌe hue ho to jazbāt kaise ho
tum qaidiyoñ kī tarah mire dil meñ ho asiir
phaile nahīñ jahāñ meñ ḳhayālāt kaise ho
is raushnī meñ chehra chhupāoge kab talak
tum māñgte ho raat magar raat kaise ho
sūraj na chāhtā ho to din kis tarah Dhale
bādal hī ruuTh jaa.eñ to barsāt kaise ho
vo chāhte haiñ un ke liye maiñ duā karūñ
shāmil is aarzū meñ mirī zaat kaise ho
bande kā aur ḳhudā kā ta.alluq hī miT chukā
patthar huī zabān munājāt kaise ho
aisā koī jo merī zabāñ bhī samajh sake
tum ajnabī ho tum se mirī baat kaise ho
maiñ apne dushmanoñ ko bhī pahchāntā nahīñ
'shahzād' dostoñ se mulāqāt kaise ho
Top Urdushayar.com