Shahzad Ahmad

aaj tak uski mohabbat ka nasha tari hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
aaj tak us kī mohabbat kā nasha taarī hai
phuul baaqī nahīñ ḳhushbū kā safar jaarī hai
sehr lagtā hai pasīne meñ nahāyā huā jism
ye ajab niiñd meñ Duubī huī bedārī hai
aaj kā phuul tirī kokh se zāhir hogā
shāḳh-e-dil ḳhushk na ho ab ke tirī baaī hai
dhyān bhī us kā hai milte bhī nahīñ haiñ us se
jism se bair hai saa.e se vafā-dārī hai
dil ko tanhā.ī kā ehsās bhī baaqī na rahā
vo bhī dhundlā ga.ī jo shakl bahut pyārī hai
is tag-o-tāz meñ TuuTe haiñ sitāre kitne
āsmāñ jiit sakā hai na zamīñ haarī hai
koī aayā hai zarā aañkh to kholo 'shahzād'
abhī jaage the abhī sone kī tayyārī hai
Top Urdushayar.com