asl meñ huuñ maiñ mujrim maiñ ne kyuuñ shikāyat kī
ḳhud pe bas nahīñ is kā umr hai sharārat kī
pyaar kā vahī andāz umr kā vahī āġhāz
garche haiñ mulāqāteñ us se ek muddat kī
dil-navāz ḳhat us ke zā.iqe bahut us ke
rañg phīkā phīkā hai shoḳh hai tabī.at kī
ab harīf sab us ke talḳh roz o shab us ke
kāñpte haiñ lab us ke us ne kyuuñ mohabbat kī
aag sā badan us kā āftāb sī nazreñ
kaun taab lā.egā is qadar tamāzat kī
apne band kamre meñ maiñ pighaltā jaatā huuñ
raat ko nikal aa.ī dhuup kis qayāmat kī
yaad jab bhī kartā huuñ hoñT jalne lagte haiñ
dauḌte lahū meñ haiñ garmiyāñ rifāqat kī
majlisoñ meñ yāroñ ke martabe bahut se haiñ
ek sī hai tanhā.ī ilm aur jahālat kī
maiñ havā kā jhoñkā sā apne-āp meñ gum thā
ye ḳhalā sī tanhā.ī aap ne ināyat kī
ahl-e-zar nahīñ ham log gahrī niiñd sote haiñ
din hazār lamhoñ kā raat ek saa.at kī
pūchhtā nahīñ koī tajrabe ko ab 'shahzād'
ya.anī mubtadī honā shart hai imāmat kī