umr jitnī bhī kaTī us ke bharose pe kaTī
aur ab sochtā huuñ us kā bharosa kyā thā
tum ne achchhā kiyā dāman ko bachā kar guzre
ham to bas raah kī miTTī the hamārā kyā thā
is liye aa ke tire shahr meñ ābād hue
ham ko is dasht-navardī se bhī lenā kyā thā
ye agar sach hai ki ham us se bichhaḌ kar ḳhush the
raat din us kī taraf dekhte rahnā kyā thā
shauq-e-nazāra ne āñkheñ hī nahīñ khulne diiñ
ye kisī ko nahīñ ma.alūm ki dekhā kyā thā
paañv mere bhī nahīñ uThte the ghar kī jānib
tum bhī jaate hue lauT aa.e the aisā kyā thā
jaal meñ us ke giraftār to honā thā hameñ
us ke jaadū se nikalne kā tarīqa kyā thā
sub.h pahchān na paayā koī sūrat terī
dil-e-hañgāma-talab raat tamāshā kyā thā
sub.h sūraj bhī use dekhne aayā 'shahzād'
raat chamkā thā jabīñ par jo sitāra kyā thā