Shahzad Ahmad

main jo rota hun to kahte ho ki aisa na karo

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
maiñ jo rotā huuñ to kahte ho ki aisā na karo
tum agar merī jagah ho to bhalā kyā na karo
ab to ai dil havas-e-sāġhar-o-mīnā na karo
chhoḌ bhī do ye taqāzā ye taqāzā na karo
dil pe ai dost qayāmat sī guzar jaatī hai
tum nigāh-e-ġhalat-andāz se dekhā na karo
phir bhī āñkheñ unheñ har baat batā detī haiñ
dil to kahtā hai kisī baat kā charchā na karo
ab mirā dard mirī jaan huā jaatā hai
ai mire chāragaro ab mujhe achchhā na karo
ye sar-e-bazm mirī samt ishāre kaise
maiñ tamāshā to nahīñ merā tamāshā na karo
mil hī jaatī hai kabhī yaas meñ taskīn mujhe
ai umīdo mujhe aise meñ to chheḌā na karo
us ne 'shahzād' tirī baat ko Thukrā hī diyā
maiñ na kahtā thā ki iz.hār-e-tamannā na karo
Top Urdushayar.com