khile jo phuul to muñh chhup gayā sitāroñ kā
misāl-e-abr chalā kārvāñ bahāroñ kā
na mujh se pūchh shab-e-hijr dil pe kyā guzrī
ye dekh haal hai kyā mere ġham-gusāroñ kā
na.ī bahār hañse ik nayā chaman khil jaa.e
samajh sake koī matlab agar ishāroñ kā
shab-e-siyāh ke lamhe guzār lene do
ghaḌī ghaḌī na karo zikr māh-pāroñ kā
dikhā.ī detī hai is tarah rūp-rañg kī baat
fazā meñ raqs ho jis tarah abr-pāroñ kā
huā na raah meñ haa.il koī shagūfa bhī
ravāñ-davāñ hī rahā qāfila bahāroñ kā
mujhe bhī ahl-e-jahāñ bhuul jā.eñge 'shahzād'
kise ḳhayāl hai Duube hue sitāroñ kā