Shahzad Ahmad

tere ghar ki bhi wahi diwar thi darwaza tha

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
tere ghar kī bhī vahī dīvār thī darvāza thā
phir vahī bāteñ huiiñ jin kā mujhe andāza thā
sard patthar jāñ-fazā malbūs meñ lipTe hue
haa.e vo duniyā jahāñ chehre na the ġhāza thā
har nafas raushan huā mere lahū ke rañg se
zindagī kyā thī mirā bikhrā huā shīrāza thā
rah ga.ī haiñ ab mire hāthoñ meñ sūkhī patiyāñ
sabr kī tāqat kahāñ thī phuul jab tak taaza thā
sochte rahte the kyuuñ tār-e-nafas kaTtā nahīñ
be-talab jiinā hamāre jurm kā ḳhamyāza thā
jo bulātī thī mujhe sehn-e-gulistāñ kī taraf
phuul kī ḳhushbū nahīñ thī barq kā āvāza thā
jab chaḌhe dariyā pahāḌoñ ko bahā kar le ga.e
Dar rahe the sab magar itnā kise andāza thā
Top Urdushayar.com