Shahzad Ahmad

kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
kamroñ meñ chhupne ke din haiñ aur na barahana rāteñ haiñ
ab aapas meñ karne vaalī aur bahut sī bāteñ haiñ
lazzat aur yaktā.ī kā ik jhoñkā aayā biit gayā
phir se apne apne dukh haiñ apnī apnī zāteñ haiñ
qurbat kī lazzat jaise bārish meñ patthar rakkhā ho
andar sahrā jaisā mausam aur bāhar barsāteñ haiñ
mom sā nāzuk paikar us kā haath lage aur ghul jaa.e
mere jism meñ jalne vaalī ḳhvāhish kī sauġhāteñ haiñ
aaj mile to yuuñ lagtā hai aaj ke ba.ad nahīñ milnā
saañs bhī lene kī nahīñ fursat ukhḌī ukhḌī bāteñ haiñ
āḳhir koī paḌh hī legā rusvā.ī kī tahrīreñ
ye mere chehre kī lakīreñ kuchh jīteñ kuchh māteñ haiñ
ab jin ko taḳhlīq ke fan kā da.avā hai 'shahzād' bahut
TuuTe hue qalam haiñ un ke sūkhī huī davāteñ haiñ
Top Urdushayar.com