bāġh-e-bahisht ke makīñ kahte haiñ marhabā mujhe
pheñk ke farsh-e-ḳhāk par bhuul gayā ḳhudā mujhe
maiñ tirā banda huuñ magar tere jahāñ kā rāzdār
tū hai mirā ḳhudā magar to nahīñ jāntā mujhe
sochtā huuñ sunā.ūñ kyā ahd-e-sitam kī dāstāñ
kahtā huuñ ḳhair chhoḌiye yaad nahīñ rahā mujhe
thā kisī saa.e kā ḳhayāl thī kisī gul kī justujū
dasht kī samt chal diyā dekh ke rāstā mujhe
roz nayā maqām hai roz na.ī umañg hai
terī talāsh kyā karūñ apnā nahīñ patā mujhe
rañg thā maiñ to kyuuñ zamīñ mujh se huī na lāla-zār
ḳhaak thā maiñ to kis liye le na uḌī havā mujhe
lamha-ba-lamha dam-ba-dam chaltā rahā qadam qadam
Dūbte chāñd kā safar kitnā aziiz thā mujhe
garche mirī chamak se band chashm-e-sitāra-o-falak
nuur huuñ phir bhī nuur kā rañg nahīñ milā mujhe
aañkh uThā ke merī samt ahl-e-nazar na dekh paa.e
aañkh na ho to kis qadar sahl hai dekhnā mujhe