aql har baat pe hairāñ hai ise kyā kahiye
dil bahr haal pareshāñ hai ise kyā kahiye
bulbuleñ tāqat-e-guftār se mahrūm huiiñ
ab ye ā.īn-e-gulistāñ hai ise kyā kahiye
log kahte haiñ ki gulshan meñ bahār aa.ī hai
bū-e-gul phir bhī pareshāñ hai ise kyā kahiye
rahnumā duur bahut duur nikal aa.e haiñ
qāfila raah meñ hairāñ hai ise kyā kahiye
ārzūoñ ne ka.ī phuul chune the lekin
zindagī ḳhār-badāmāñ hai ise kyā kahiye
apne maazī kī hikāyāt bahut ḳhuub sahī
ab na.e daur kā sāmāñ hai ise kyā kahiye
sochte the ki sahar nūr-badāmāñ hogī
tīrgī phir bhī numāyāñ hai ise kyā kahiye
ehtimām-e-sahar-e-nau to kareñge lekin
dil abhī be-sar-o-sāmāñ hai ise kyā kahiye
maiñ ne kis haal meñ dekhā hai chaman ko 'shahzād'
aur dil ab bhī ġhazal-ḳhvāñ hai ise kyā kahiye