na sahī kuchh magar itnā to kiyā karte the
vo mujhe dekh ke pahchān liyā karte the
āḳhir-e-kār hue terī razā ke pāband
ham ki har baat pe isrār kiyā karte the
ḳhaak haiñ ab tirī galiyoñ kī vo izzat vaale
jo tire shahr kā paanī na piyā karte the
ab to insān kī azmat bhī koī chiiz nahīñ
log patthar ko ḳhudā maan liyā karte the
dosto ab mujhe gardan-zadanī kahte ho
tum vahī ho ki mire zaḳhm siyā karte the
ham jo dastak kabhī dete the sabā kī mānind
aap darvāza-e-dil khol diyā karte the
ab to 'shahzād' sitāroñ pe lagī haiñ nazreñ
kabhī ham log bhī miTTī meñ jiyā karte the