vo jā chukā hai to kyuuñ be-qarār itne ho
mohabbat us se karo jis ko bhuul sakte ho
nishān-e-manzil-e-jāñ gar nahīñ milā na sahī
chalo safar to kiyā hai kahīñ to pahuñche ho
tamām umr na milne kā hausla hī sahī
tum apne dil meñ koī aarzū to rakhte ho
safar bhī tum ne kiyā āftāb kī sūrat
abhī tak apne hī naqsh-e-qadam pe chalte ho
jo raushnī hai diloñ meñ atā tumhārī hai
charāg tum sā nahīñ tum charāg jaise ho
diloñ ke so.e hue ġham abhī to jaage haiñ
zarā sī der to baiTho abhī to aa.e ho
tumhāre lahje kā ye zer-o-bam qayāmat hai
kabhī rafīq kabhī nā-shanās lagte ho
ḳhudā sunā hai rag-e-jāñ ke paas rahtā hai
magar tum aur bhī nazdīk aate jaate ho
tamām din rahī saa.e kī justujū 'shahzād'
huī hai raat to āñkheñ talāsh karte ho