Shahzad Ahmad

hum logon ko apne dil ke raaz batate rahte hain

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
ham logoñ ko apne dil ke raaz batāte rahte haiñ
log hamārī bāteñ sun kar hañste hañsāte rahte haiñ
jin lamhoñ ne luuT liyā thā mere dil kī duniyā ko
aksar merī mahfil-e-ġham meñ aate jaate rahte haiñ
duniyā vāloñ kī bātoñ se un kā jī kyuuñ jaltā hai
duniyā to dīvānī hai vo kyuuñ ghabrāte rahte haiñ
ham ko ġham-e-daurāñ bhī nahīñ hai aur ġham-e-jānāñ bhī nahīñ
jaane phir kyuuñ baat baat par ashk bahāte rahte haiñ
ham raahī ham dīvāne ādāb-e-safar ko kyā jāneñ
har manzil har rāhguzar meñ ḳhaak uḌāte rahte haiñ
mujh ko har ik afsāne meñ apnā aks nazar aa.e
log mujhe hī mere ġham kā haal sunāte rahte haiñ
vo dīvāna baat baat par raat raat bhar rotā hai
garche ham 'shahzād' ko ḳhalvat meñ samjhāte rahte haiñ
Top Urdushayar.com