kahīñ bhī saaya nahīñ kis taraf chale koī
daraḳht kaaT gayā hai hare-bhare koī
ajiib rut hai zabāñ zā.iqe se hai mahrūm
tamām shahr hī chup ho to kyā kare koī
hamāre shahr meñ hai vo gurez kā aalam
charāg bhī na jalā.e charāg se koī
ye zindagī hai safar munjamid samundar kā
vahīñ pe shaq ho zamīñ jis jagah ruke koī
palaT kar aa nahīñ sakte ga.e hue lamhe
tamām umr bhī ab jāgtā rahe koī
misāl-e-aks muqayyad hisār-e-zāt meñ huuñ
vo mauj huuñ jise rasta na mil sake koī
phir is ke ba.ad bikhar jā.ūñ ret kī sūrat
bas ek baar mujhe TuuT kar mile koī
huzūr-e-husn ye dil kāsa-e-gadā.ī hai
huuñ vo faqīr jise bhiik bhī na de koī
savāl us ne bhī koī nahīñ kiyā 'shahzād'
javāb ban na paḌe jis ke sāmne koī