Shahzad Ahmad

is doshiza miTTi par naqsh-e-kaf-e-pa koi bhi nahin

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
is doshīza miTTī par naqsh-e-kaf-e-pā koī bhī nahīñ
jhaḌte phuul barastī bārish tez havā koī bhī nahīñ
ye dīvāreñ aur darvāze sab āñkhoñ kā dhokā hai
kahne ko har baab khulā hai aur khulā koī bhī nahīñ
chehre jāne-pahchāne the rūheñ badlī badlī thiiñ
sab ne mujh se haath milāyā aur milā koī bhī nahīñ
ek se manzar dekh dekh kar āñkheñ dukhne lagtī haiñ
is raste par peḌ bahut haiñ aur harā koī bhī nahīñ
uḌtā bādal chehre buntā aur miTātā jaatā hai
lākhoñ āñkheñ dekh rahī thiiñ lekin thā koī bhī nahīñ
jis ke biich ghirā baiThā huuñ Dher hai biite lamhoñ kā
sab merī jānib aa.e haiñ aur gayā koī bhī nahīñ
jaltī miTTī sūkhe kāñTe gahre paanī tīkhe sañg
sab ḳhatre paañv ke nīche sar pe balā koī bhī nahīñ
harf likhūñ to paḌhne vaale kyā kyā nauhe sunte haiñ
kaan dharūñ to in harfoñ meñ saut-o-sadā koī bhī nahīñ
Top Urdushayar.com