koshish hai shart yūñhī na hathiyār pheñk de
mauqa.a mile to ḳhat pas-e-dīvār pheñk de
chehre pe jo likhā hai vahī us ke dil meñ hai
paḌh lī haiñ surḳhiyāñ to ye aḳhbār pheñk de
sayyād hai to shahr meñ āzād yuuñ na phir
shāyad kamand koī giraftār pheñk de
kar dostī bhī zulm se aur dushmanī bhī rakh
chehre pe thuuk paañv pe dastār pheñk de
saayā bhī kyuuñ rahe kisī dushman kī raah meñ
haañ kaaT kar zamīn pe ashjār pheñk de
rusvā-e-shahr ab tirī izzat isī meñ hai
pagḌī utaar kar sar-e-bāzār pheñk de
gar haath kāñpte haiñ to maidān meñ na aa
himmat nahīñ to duur se talvār pheñk de