thoḌā sā rañg raat ke chehre pe Daal do
kyā sochte ho jaam havā meñ uchhāl do
samjhegā kaun ruuh kī gahrā.iyoñ ke raaz
pūchhe koī to bātoñ hī bātoñ meñ Taal do
sūraj hai aur pyaas ke maare hue haiñ log
saarī ḳhudā.ī barf ke paanī meñ Daal do
zindāñ meñ kis liye mujhe karte ho tum asiir
dīvāna huuñ to shahr se bāhar nikāl do
saa.e ke pīchhe bhāgte phirne se fā.eda
har aarzū ko jism ke paikar meñ Dhaal do
vaise ye tīrgī bhī burī chiiz to nahīñ
lekin kabhī to aa ke diloñ ko ujaal do
'shahzād' dostī meñ bhalā kyā milā tumheñ
ho ahl-e-dil to dil kā janāza nikāl do