jab āftāb na niklā to raushnī ke liye
jalā ke ham ne parinde fazā meñ chhoḌ diye
tamām umr rahīñ zer-e-lab mulāqāteñ
na us ne baat baḌhā.ī na ham ne hoñT siye
supurdagī kā vo lamha kabhī nahīñ guzrā
hazār baar mare ham hazār baar jiye
hazār baar vo aayā bhī aur chalā bhī gayā
ik umr biit ga.ī us kā e'tibār kiye
ḳhabar nahīñ ki ḳhalā kis jagah pe ho maujūd
zamīn par bhī qadam phūñk phūñk kar rakhiye
safar bhī duur kā hai aur kahīñ nahīñ jaanā
ab ibtidā ise kahiye ki intihā kahiye
havā uThā na sakī bojh abr kā 'shahzād'
zamīñ ke ashk bhī āḳhir samundaroñ ne piye