be-sabab chaak par dhare the ham
bante bante bhī kyā bane the ham
zabt-e-ġham haar hī gayā āḳhir
us ko dekhā to ro paḌe the ham
tujh ko kāñTe kahāñ se lag jaate
aage aage jo chal rahe the ham
hādisa kis taraf ko le aayā
ghar se kyā soch kar chale the ham
sach batā ḳhāliq-e-jahān-e-ḳharāb
is tamāshe ko hī bane the ham
ho ga.ī shaam tab milī duniyā
saarā din DhūñDe phire the ham