Shahzad Ahmad

jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
jaan muqaddar meñ thī jaan se pyārā na thā
mere liye sub.h thī sub.h kā taarā na thā
bahr-e-shab-o-roz meñ bah ga.e tinke se ham
mauj-e-balā-ḳhez thī aur kinārā na thā
jaan ke dushman the sab log tire shahr ke
umr kaTī jis jagah pal bhī guzārā na thā
sard rahī umr bhar anjuman-e-ārzū
ḳhār-o-ḳhas-e-shauq meñ koī sharāra na thā
kis ke liye jāgte kis kī taraf bhāgte
itne baḌe shahr meñ koī hamārā na thā
shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us kī taraf chal diye jis ne pukārā na thā
duur sahī manzileñ ab na rahīñ himmateñ
TuuT ga.e pā-e-shauq dil abhī haarā na thā
Top Urdushayar.com