kaise guzar sakeñge zamāne bahār ke
chup ho gayā huuñ mausam-e-gul ko pukār ke
yā merī zindagī meñ ujālā kare koī
yā pheñk de kahīñ ye sitāre utaar ke
jholī meñ gul to kyā koī kāñTā hī Daal do
māyūs to na ho koī dāman pasār ke
dil par bhī aao ek nazar Dālte chaleñ
shāyad chhupe hue hoñ yahīñ din bahār ke
āñkhoñ meñ āñsuoñ kī tarah tairne lage
bhīge hue ḳhayāl lab-e-jū-e-bār ke
dahkī huī fazāoñ meñ jaa.eñ kahāñ tuyūr
saa.e bhī jab ghane na raheñ shāḳh-sār ke
'shahzād' kis zamīñ ko maiñ apnā vatan kahūñ
āvārgān-e-ishq hue kis dayār ke