maiñ ki ḳhush hotā thā dariyā kī ravānī dekh kar
kaañp uTThā huuñ galī-kūchoñ meñ paanī dekh kar
ho koī bahrūp us kā dil dhaḌaktā hai zarūr
maiñ use pahchān letā huuñ nishānī dekh kar
adh-khule tanhā darīchoñ kā mujhe aayā ḳhayāl
nīm-vā āñkhoñ kī rañgat āsmānī dekh kar
abr ke TukḌoñ ne dīvāreñ banā diiñ jā-ba-jā
dhuup se jaltī fazā kī be-karānī dekh kar
ek lamhe meñ kaTā hai muddatoñ kā fāsla
maiñ abhī aayā huuñ tasvīreñ purānī dekh kar
aañkh ke bādal se kahtā hai ki duniyā par baras
dil lab o ruḳhsār kī sho.ala-fishānī dekh kar
kis taraf le jā.egī so.e hue logoñ ko raat
Dar rahā huuñ us kī āñkhoñ meñ girānī dekh kar
din vahīñ par kāTnā ham ko qayāmat ho gayā
aan baiThe the jahāñ sub.heñ suhānī dekh kar
dil meñ jo kuchh hai zabāñ kā zā.iqa bantā nahīñ
lafz chehra Dhāñp lete haiñ ma.ānī dekh kar
dil na jaane kaun sī gahrā.iyoñ meñ kho gayā
bahr kī maujoñ kī tahrīroñ ko faanī dekh kar
der se 'shahzād' kunj-e-āfiyat meñ the asiir
ḳhush huā hai dil balā-e-nā-gahānī dekh kar