ḳhat meñ us ko kaise likkheñ kyā paanā kyā khonā hai
duurī meñ to ho nahīñ saktā jo aapas meñ honā hai
niiñd kā panchhī aa pahuñchā hai vahshī dil kī baat na sun
mil bhī ga.e to āḳhir thak kar gahrī niiñd hī sonā hai
vo aayā to saare mausam badle badle lagte haiñ
yā kāñToñ kī sej bichhī thī yā phūloñ kā bichhaunā hai
abhī to ḳhushk bahut hai mausam bārish ho to socheñge
ham ne apne armānoñ ko kis miTTī meñ bonā hai
ham ko nasīhat karne vaale ḳhud bhī yahī kuchh karte haiñ
tum kyā qisse le baiThe ho ye umroñ kā ronā hai
kāñch kī guḌiyāñ taaq meñ kab tak aap sajā.e rakkheñge
aaj nahīñ to kal TūTegā jis kā naam khilaunā hai
baḌe baḌe da.ave haiñ lekin chhoTe chhoTe qad 'shahzād'
phāñknī hai kuchh ḳhaak un ko kuchh paanī unheñ bilonā hai