Shahzad Ahmad

aap bhi nahin aae nind bhi nahin aai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
aap bhī nahīñ aa.e niiñd bhī nahīñ aa.ī
nīm-vā darīchoñ se jhāñktī hai tanhā.ī
jaag jaag uThte haiñ gan-kalī ke mīThe sur
chheḌ chheḌ jaatī hai gesuoñ kī purvā.ī
yuuñ mire ḳhayāloñ meñ terī yaad raqsāñ hai
jis tarah fazāoñ meñ gūñjtī hai shahnā.ī
gard-e-rāh bhī chup hai sañg-e-mīl bhī ḳhāmosh
tālibān-e-manzil kī kuchh ḳhabar nahīñ aa.ī
ik taraf ġham-e-duniyā ik taraf tirī yādeñ
aaj kal hayūloñ se khelte haiñ saudā.ī
jin guloñ ne paayā ho rañg-o-bū bagūloñ se
kaun chhīn saktā hai un guloñ kī ra.anā.ī
ye tane tane abrū ye harā-bharā chehrā
ham ne qahr sī lazzat pyaar meñ nahīñ paa.ī
ab to saaf suntā huuñ apne dil kī har dhaḌkan
aur kyā dikhā.egī ye tavīl tanhā.ī
bazm-e-dost meñ 'shahzād' tum bhī kuchh hañso bolo
chup rahe se hotī hai duur duur rusvā.ī
Top Urdushayar.com