purāne dostoñ se ab muravvat chhoḌ dī ham ne
muazzaz ho ga.e ham bhī sharāfat chhoḌ dī ham ne
mayassar aa chukī hai sar-bulandī muḌ ke kyuuñ dekheñ
imāmat mil ga.ī ham ko to ummat chhoḌ dī ham ne
kise ma.alūm kyā hogā ma.aal ā.inda nasloñ kā
javāñ ho kar buzurgoñ kī rivāyat chhoḌ dī ham ne
ye mulk apnā hai aur is mulk kī sarkār apnī hai
milī hai naukrī jab se baġhāvat chhoḌ dī ham ne
hai utnā vāqi.a us se na milne kī qasam khā lī
ta.assuf is qadar goyā vazārat chhoḌ dī ham ne
kareñ kyā ye balā apne liye ḳhud muntaḳhab kī hai
gilā baaqī rahā lekin shikāyat chhoḌ dī ham ne
sitāre is qadar dekhe ki āñkheñ bujh ga.iiñ apnī
mohabbat is qadar kar lī mohabbat chhoḌ dī ham ne
jo sochā hai azīzoñ kī samajh meñ aa nahīñ saktā
sharārat ab ke ye kī hai sharārat chhoḌ dī ham ne
ulajh paḌte agar to ham meñ tum meñ farq kyā rahtā
yahī dīvār baaqī thī salāmat chhoḌ dī ham ne
gunahgāroñ meñ shāmil mudda.ī bhī aur mulzim bhī
tirā insāf dekhā aur adālat chhoḌ dī ham ne