sūraj kī kiran dekh ke bezār hue ho
shāyad ki abhī ḳhvāb se bedār hue ho
manzil hai kahāñ tum ko dikhā.ī nahīñ degī
tum apne liye aap hī dīvār hue ho
ehsās kī daulat jo milegī to kahāñ se
kuchh bhī na rahā paas to hoshiyār hue ho
socho to hai maujūd na socho to nahīñ hai
jis daam meñ tum log giraftār hue ho
apne se taġhāful hai ki be-rāh-ravī hai
kyā soch ke duniyā ke talabgār hue ho
ye rishta-e-dil toḌ ke kyā tum ko milā hai
TuuTe hue patte kī tarah ḳhvār hue ho
pahle bhī kabhī nuur kā ehsās huā thā
yā aaj hī is ġham se ḳhabar-dār hue ho
majnūñ ho to hai ḳhaak uḌāne se tumheñ kaam
yūsuf ho to rusvā sar-e-bāzār hue ho
kal tak to in āñkhoñ meñ muravvat kī jhalak thī
fitna ho to phir aaj hī bedār hue ho
koī ufuq-e-dil pe numūdār to ho le
tum kis ke qadam lene ko tayyār hue ho
ye chhab ye jhamak aañkh se dekhī nahīñ jaatī
tum uḌte hue vaqt kī raftār hue ho
'shahzād' ta.assuf na karo be-asarī par
tum dast-e-rasā kab the ki bekār hue ho