laboñ pe aa ke rah ga.iiñ shikāyateñ kabhī kabhī
tire huzūr paḌ ga.iiñ ye uljhaneñ kabhī kabhī
bas ik bisāt-e-ārzū bikhar ga.ī to kyā huā
ujaḌ ga.ī haiñ mahfiloñ kī mahfileñ kabhī kabhī
hazār baar husn ḳhud hī nādim-e-jafā huā
agarche ishq ne bhī kiiñ shikāyateñ kabhī kabhī
kabhī kabhī tirī nazar kā aasrā bhī mil gayā
simaT ke rah ga.iiñ haiñ ġham kī vus.ateñ kabhī kabhī
thiiñ donoñ samt ḳhvāhisheñ ye faisla na ho sakā
bhaḌak uTheñ ham ek saath yā jaleñ kabhī kabhī