Shahzad Ahmad

ab na wo shor na wo shor machane wale

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
ab na vo shor na vo shor machāne vaale
ḳhaak se baiTh ga.e ḳhaak uḌāne vaale
ye alag baat mayassar lab-e-goyā na huā
dil meñ vo dhuum ki sunte haiñ zamāne vaale
kisī manzil kī taraf koī qadam uTh na sakā
apne hī paañv kī zanjīr the jaane vaale
dil sā vahshī kabhī qaabū meñ na aayā yaaro
haar kar baiTh ga.e jaal bichhāne vaale
din kī kajlā.ī huī dhuup meñ kyā dekhte haiñ
shaam hote hī pareshāñ nazar aane vaale
jalva-e-husn sazā-vār-e-nazar ho na sakā
kuchh nahīñ dekh sake aañkh uThāne vaale
yād-e-ayyām ke darvāze se mat jhāñk mujhe
aañkh se duur na ho dil meñ samāne vaale
terī qurbat meñ guzāre hue kuchh lamhe haiñ
dil ko tanhā.ī kā ehsās dilāne vaale
inhī jhoñkoñ se hai 'shahzād' chamak āñkhoñ meñ
yahī jhoñke haiñ charāġhoñ ko bujhāne vaale
Top Urdushayar.com