Shahzad Ahmad

aati hai dam-ba-dam ye sada jagte raho

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
aatī hai dam-ba-dam ye sadā jāgte raho
jaise ki jāgtā hai ḳhudā jāgte raho
jiite raho lahū meñ harārat hai jab talak
āñkhoñ meñ jab talak hai ziyā jāgte raho
dariyā-e-zindagī kā nahīñ koī e'tibār
jo so gayā vo Duub gayā jāgte raho
bas aaj hī kī shab hai jise zindagī kaheñ
kal kā nahīñ kisī ko patā jāgte raho
gar so ga.e to aañkh khulegī na hashr tak
ye sar-zamīñ hai ḳhvāb-fazā jāgte raho
ye kyā ki sub.h hote hī behosh ho ga.e
shab zinda-dār ho to sadā jāgte raho
phir aa ga.ī hai raat sitāre liye hue
sūraj chhupā charāg jalā jāgte raho
phir koī qāfila huā gard-e-safar meñ gum
phir aa rahī hai bāñg-e-darā jāgte raho
bādal havā ke dosh pe chhā.e hue to haiñ
shāyad baras paḌe ye ghaTā jāgte raho
vo raat hai ki saa.e bhī aaseb ho ga.e
bujhne lagā galī kā diyā jāgte raho
ḳhūñ-rañg āsmān hai rāteñ Darāonī
har ek samt shor machā jāgte raho
chāroñ taraf chamakne lagī saif-e-be-niyām
taarā girā sahāb kaTā jāgte raho
'shahzād' lamhe lamhe meñ pinhāñ hai zindagī
har ek marhala hai nayā jāgte raho
Top Urdushayar.com