Shahzad Ahmad

chup ke aalam mein wo taswir si surat uski

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
chup ke aalam meñ vo tasvīr sī sūrat us kī
boltī hai to badal jaatī hai rañgat us kī
sīḌhiyāñ chaḌhte achānak vo milī thī mujh ko
us kī āvāz meñ maujūd thī hairat us kī
haath chhū luuñ to laraz jaatī hai patte kī tarah
vahī nā-karda-gunāhī pe nadāmat us kī
kisī Thahrī huī saa.at kī tarah mohr-ba-lab
mujh se dekhī nahīñ jaatī ye aziyyat us kī
aañkh rakhte ho to us aañkh kī tahrīr paḌho
muñh se iqrār na karnā to hai aadat us kī
ḳhud vo āġhosh-e-kushāda hai jazīre kī tarah
phaile dariyāoñ kī mānind mohabbat us kī
raushnī ruuh kī aatī hai magar chhan chhan kar
sust-rau abr kā TukḌā hai tabī.at us kī
hai abhī lams kā ehsās mire hoñToñ par
sabt phailī huī huī bāhoñ pe harārat us kī
vo agar jā bhī chukī hai to na āñkheñ kholo
abhī mahsūs kiye jaao rifāqat us kī
dil dhaḌaktā hai to vo aañkh bulātī hai mujhe
saañs aatī hai to miltī hai bashārat us kī
vo kabhī aañkh bhī jhapke to laraz jaatā huuñ
mujh ko us se bhī zyāda hai zarūrat us kī
vo kahīñ jaan na le ret kā Tiila huuñ maiñ
mere kāñdhoñ pe hai tāmīr imārat us kī
be-talab jiinā bhī 'shahzād' talab hai us kī
zinda rahne kī tamannā bhī sharārat us kī
Top Urdushayar.com