Shahzad Ahmad

charagh KHud hi bujhaya bujha ke chhoD diya

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
charāġh ḳhud hī bujhāyā bujhā ke chhoḌ diyā
vo ġhair thā use apnā banā ke chhoḌ diyā
hazār chehre haiñ maujūd aadmī ġhā.eb
ye kis ḳharābe meñ duniyā ne lā ke chhoḌ diyā
maiñ apnī jaañ meñ use jazb kis tarah kartā
use gale se lagāyā lagā ke chhoḌ diyā
maiñ jā chukā huuñ mire vāste udaas na ho
maiñ vo huuñ tū ne jise muskurā ke chhoḌ diyā
kisī ne ye na batāyā ki fāsla kyā hai
har ek ne mujhe rasta dikhā ke chhoḌ diyā
hamāre dil meñ hai kyā jhāñk kar na dekh sake
ḳhud apnī zaat se parda uThā ke chhoḌ diyā
vo terā rog bhī hai aur tirā ilaaj bhī hai
usī ko DhūñD jise tañg aa ke chhoḌ diyā
vo anjuman meñ milā bhī to us ne baat na kī
kabhī kabhī koī jumla chhupā ke chhoḌ diyā
rakhūñ kisī se tavaqqo.a to kyā rakhūñ 'shahzād'
ḳhudā ne bhī to zamīñ par girā ke chhoḌ diyā
Top Urdushayar.com