Shahzad Ahmad

meri KHatir der na karna aur safar karte jaana

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
merī ḳhātir der na karnā aur safar karte jaanā
lekin chhoḌ ke jaane vaalo ek nazar karte jaanā
hijr kī shab ke taaro tum ko Duub to jaanā hai lekin
mere dil par kyā guzrī hai un ko ḳhabar karte jaanā
ham se dard ke māroñ kī muḳhtārī kyā majbūrī kyā
jiinā aur na marnā lekin umr basar karte jaanā
itnā sukūñ itnī ḳhāmoshī kaise raat guzāreñ ham
jaate jaate mahfil-e-dil ko zer-o-zabar karte jaanā
rotī āñkheñ yā hañste lab aap bhī ik saudā.ī haiñ
chup chup rahnā aur tavāf-e-rāhguzar karte jaanā
aur zarā chamkā denā yādoñ ke bhaḌakte sho.aloñ ko
ai ġham-e-daurāñ ai ġham-e-jānāñ dil pe asar karte jaanā
kis ko ḳhabar 'shahzād' ki un āñkhoñ meñ kaisā jaadū hai
kahnā aur na sunñā lekin dil meñ ghar karte jaanā
Top Urdushayar.com