ye kis ke aane ke imkāñ dikhā.ī dete haiñ
dil o nigāh ġhazal-ḳhvāñ dikhā.ī dete haiñ
vo ahl-e-dil jo tire aasre pe jiite the
rahīn-e-gardish-e-daurāñ dikhā.ī dete haiñ
hameñ to aaj bhī ġham-hā-e-do-jahāñ haiñ aziiz
vo aur haiñ jo gurezāñ dikhā.ī dete haiñ
ik aag phir bhaḌak uTThī hai diida o dil meñ
kuchh ashk phir sar-e-mizhgāñ dikhā.ī dete haiñ
ye kis ke jalva-e-rañgīñ kā aks hai 'shahzād'
dil o nigāh firozāñ dikhā.ī dete haiñ