Shahzad Ahmad

isi bais zamana ho gaya hai usko ghar baiThe

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
isī baa.is zamāna ho gayā hai us ko ghar baiThe
vo Dartī hai kahīñ koī mohabbat hī na kar baiThe
hamārā jurm ye hai ham ne kyuuñ insāf chāhā thā
hamārā faisla karne ka.ī bedād-gar baiThe
kahāñ tak ḳhāna-e-dil ab maiñ terī ḳhair mānūñgā
zarā sailāb aayā aur tire dīvār-o-dar baiThe
mayassar phir na hogā chilchilātī dhuup meñ chalnā
yahīñ ke ho rahoge saa.e meñ ik pal agar baiThe
bahut ghūmā phirā tū phir bhī ḳhālī hai tirā kaasa
udhar to daulat-e-dil haath aa.ī ham ko ghar baiThe
uḌā kar le ga.ī duniyā hameñ kin kin jhameloñ meñ
na phir fursat milī ham ko na phir ham umr bhar baiThe
fazā meñ gard ke zarroñ kī sūrat ham muallaq haiñ
na uḌne kī tamannā kī na farsh-e-ḳhāk par baiThe
uḌī hai ḳhaak yādoñ kī umīdoñ kī irādoñ kī
ye miTTī thī ki bujhtī raakh par ham paañv dhar baiThe
palaT kar jab bhī dekhā ḳhaak kī chādar nazar aa.ī
na gard-e-rāh baiThī hai na mere ham-safar baiThe
Top Urdushayar.com