Shahzad Ahmad

KHud hi mil baiThe ho ye kaisi shanasai hui

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
ḳhud hī mil baiThe ho ye kaisī shanāsā.ī huī
dasht meñ pahuñche na ghar chhoḌā na rusvā.ī huī
saañs tak lene nahīñ detā thā āvāzoñ kā shor
jab parinde uḌ ga.e sunsān tanhā.ī huī
le chalā ham ko bulandī kī taraf dariyā kā ḳhauf
kyā kareñge ham pahāḌoñ par agar kaa.ī huī
apnī gahrā.ī kī jānib jhuk rahā hai āsmāñ
DhūñDne niklī hai ḳhud ko aañkh ghabrā.ī huī
raat bhar duniyā rahī hai tīrgī ke sehr meñ
sub.h kī pahlī kiran āñkhoñ meñ bīnā.ī huī
phir ghirā huuñ halqa-e-yārāñ meñ mujrim kī tarah
phir kahī hai dāstāñ sau baar dohrā.ī huī
haath phailā.ūñ to kis kī samt apnā ruḳh karūñ
āsmāñ dushman zamīñ bandoñ se uktā.ī huī
log galiyoñ meñ nikal aa.e haiñ bachchoñ kī tarah
sar pe jab TuuTe sitāre bazm-ārā.ī huī
saa.e kī rañgat fazā kī raushnī meñ ghul ga.ī
ab ke chehroñ par paḌī hai dhuup kajlā.ī huī
āḳhir-e-kār apnī āñkheñ phoḌ liiñ tasvīr ne
saarī duniyā jab un āñkhoñ kī tamannā.ī huī
aañkh se haTte nahīñ guzrī huī duniyā ke rañg
ham ne in lamhoñ ko hai zanjīr pahnā.ī huī
Top Urdushayar.com