lage the ġham tujhe kis umr meñ zamāne ke
vahī to din the tire khelne ke khāne ke
na jaane ḳhanda-labī zahr-e-ḳhand kaise huī
vahī hai tū vahī andāz dil dukhāne ke
charāg jaltā huā duur hī se dekh liyā
rahe na ham tirī mahfil meñ aane jaane ke
falak ke paas mohabbat kī ik kiran bhī nahīñ
zamīn kahtī hai muñh khol de ḳhazāne ke
hai shahr shahr vahī jañgaloñ kī vīrānī
mile haiñ mujh ko shab o roz kis zamāne ke
ye qāfile ye chamaktī huī guzargāheñ
haiñ ehtimām bahut duur tak na jaane ke
talāsh-e-rizq meñ ham ne chaman to chhoḌ diyā
magar diloñ meñ haiñ tinke bhī āshiyāne ke