ḳhalq ne chhīn lī mujh se mirī tanhā.ī tak
ishq aa pahuñchā hai ilzām se rusvā.ī tak
khol rakkhā hai ye darvāza-e-dil tere liye
kaash tū dekh sake ruuh kī gahrā.ī tak
kyuuñ huuñ maiñ aur mire ġham kā use ehsās kahāñ
hai mulāqāt faqat anjuman-ārā.ī tak
yuuñ to ham ahl-e-nazar haiñ magar anjām ye hai
DhūñDte DhūñDte kho dete haiñ bīnā.ī tak
khul ga.e vo to khulā apnī mohabbat kā bharam
valvale dil meñ hazāroñ the shanāsā.ī tak
Dūbnā apnā muqaddar thā magar zulm hai ye
bah ga.e ek hī rele meñ tamāshā.ī tak
ḳhushk miTTī pe bhī girtā nahīñ pattā koī
ḳhāmushī vo hai ki chaltī nahīñ purvā.ī tak
shahr meñ ahl-e-jafā ahl-e-riyā rahte haiñ
ye havā kaash na pahuñche tire saudā.ī tak
apne anjām pe ḳhud ro.egī sham-e-mahfil
chhoḌ jā.eñge use us ke tamannā.ī tak
ham ne bhī dasht-navardī to bahut kī 'shahzād'
haath pahuñchā na kisī lāla-e-sahrā.ī tak