dekh ab apne hayūle ko fanā hote hue
tū ne bandoñ se laḌā.ī kī ḳhudā hote hue
faisla honā hai jo kuchh aaj honā chāhiye
muddateñ lag jā.eñgī mahshar bapā hote hue
sochtā rahtā huuñ kab badlegī gulshan kī havā
dekhtā rahtā huuñ lamhoñ ko havā hote hue
hai balā ab kaun sī baaqī jo mujh par aa.egī
maiñ kisī se kyuuñ Darūñ be-dast-o-pā hote hue
dekhte rahte ho sab kuchh bolte kuchh bhī nahīñ
kis qadar bedard ho dard-āshnā hote hue
zard chehra surḳh āñkheñ kāñpte be-sabr hoñT
ye sabhī kuchh aur dil-e-be-mudda.ā hote hue
shādmāñ huuñ apnī sab majbūriyoñ ke bāvajūd
mutma.in huuñ ruuh ke andar ḳhalā hote hue
jin ko tū dhutkārtā hai vo bhī tere saa.e haiñ
tū ne itnā bhī nahīñ sochā ḳhafā hote hue
aaj kī tābindagī se kal kā andāza na kar
dekh pattoñ ko daraḳhtoñ se judā hote hue
muntazir huuñ kaun aatā hai koī vahshī ki chor
sun rahā huuñ phir se darvāze ko vā hote hue