Shahzad Ahmad

ye bhi sach hai ki nahin hai koi rishta tujhse

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
ye bhī sach hai ki nahīñ hai koī rishta tujh se
jitnī ummīdeñ haiñ vābasta haiñ tanhā tujh se
ham ne pahlī hī nazar meñ tujhe pahchān liyā
muddatoñ maiñ na hue log shanāsā tujh se
shab tārīk firozāñ tirī ḳhushbū se huī
sub.h kā rañg huā aur bhī gahrā tujh se
be-ta.alluq bhī haiñ har rañg har andāz se ham
vo ta.alluq bhī hai qaa.em jo kabhī thā tujh se
ye alag baat zabāñ saath na de pā.egī
dil kā jo haal hai kahnā to paḌegā tujh se
tere siine meñ bhī ik daaġh hai tanhā.ī kā
jāntā maiñ to kabhī duur na hotā tujh se
aañkh bhī parda hai takne nahīñ paatī sūraj
dil bhī dīvār hai milne nahīñ detā tujh se
kyuuñ azal se tire hamrāh chalā aatā hai
jaane kyā chāhtā hai naqsh-e-kaf-e-pā tujh se
ye alag baat tujhe TuuT ke chāhā lekin
dil-e-be-māya ne kuchh bhī nahīñ chāhā tujh se
raat aa.ī to talab sham.a nahīñ kī dil ne
dhuup niklī hai to saaya nahīñ māñgā tujh se
jis se vābasta hai 'shahzād' muqaddar terā
raushnī maañg rahā hai vo sitāra tujh se
Top Urdushayar.com